phir ek bar tera tazkira nikal aaya
mujhe tarasha to paikar tera nikal aaya
ye mere ghar ke darichon mein raushni kaisi
yahan charag ka kya silsila nikal aaya
jo naqsh naqsh asiri ka sehr jaante the
un aainon se bhi saya mera nikal aaya
main apne shor mein kab tak daba hua rahta
sadaen deta hua be-sada nikal aaya
lipaT ke rota raha wo bujhe charaghon se
ki taq taq koi silsila nikal aaya
diya tha jis ko zamane ne tere qurb ka nam
mere hi qadmon se wo fasla nikal aaya
Ghazal
Phir ek bar tera tazkira nikal aaya
Kaifi Wijdani