phir e'tibar-e-ishq ke qabil nahin raha
jo dil teri nazar se gira dil nahin raha
nashtar chubhoe ab na pashemani-e-nigah
mujh ko to shikwa-e-KHalish-e-dil nahin raha
maujen ubhaar kar mujhe jis samt le chalen
hadd-e-nigah tak kahin sahil nahin raha
kya kahiye ab maal-e-mohabbat ki sarguzisht
yaad us ki rah gai hai magar 'dil' nahin raha

Ghazal
Phir etibar-e-ishq ke qabil nahin raha
Dil Shahjahanpuri