اردو हिंदी
Phir chhiDi raat baat phulon ki | Shaahi Shayari
phir chhiDi raat baat phulon ki

Ghazal

Phir chhiDi raat baat phulon ki

Makhdoom Mohiuddin

;

phir chhiDi raat baat phulon ki
raat hai ya baraat phulon ki

phul ke haar phul ke gajre
sham phulon ki raat phulon ki

aap ka sath sath phulon ka
aap ki baat baat phulon ki

nazren milti hain jam milte hain
mil rahi hai hayat phulon ki

kaun deta hai jaan phulon par
kaun karta hai baat phulon ki

wo sharafat to dil ke sath gai
luT gai kaenat phulon ki

ab kise hai dimagh-e-tohmat-e-ishq
kaun sunta hai baat phulon ki

mere dil mein surur-e-subh-e-bahaar
teri aankhon mein raat phulon ki

phul khilte rahenge duniya mein
roz niklegi baat phulon ki

ye mahakti hui ghazal 'maKHdum'
jaise sahra mein raat phulon ki