phir chhalakta hai jam wahshat ka 
shah-e-KHuban salam wahshat ka 
ek chashm-e-ghazal karti hai 
chaar-su ehtimam wahshat ka 
wo giran-gosh ho hama-tan-gosh 
to sunaun kalam wahshat ka 
chaak hai ab tera gareban bhi 
dekh le intiqam wahshat ka 
mauj-e-hairat safar mein rakhti hai 
DhunDhta hun qayam wahshat ka 
aaj to baghban ne gulshan mein 
ek bichhaya hai dam wahshat ka 
ek taraf mauja-e-sukun hai 'nadim' 
ek jaanib KHiram wahshat ka
        Ghazal
Phir chhalakta hai jam wahshat ka
Kamran Nadeem

