phir chand dinon se wo har shab KHwabon mein hamare aate hain
phir rah-guzar-e-dil par kuchh qadmon ke nishan hum pate hain
kuchh raat gae kuchh raat rahe hum akasr ashk bahate hain
kya jaane aag lagate hain ya dil ki aag bujhate hain
ai dil ai KHushiyon ke madfan ai mere ghamon ke taj-mahal
le KHush ho teri ziyarat ko ehsas ke mare aate hain
is darja hue hum duniya se bezar ki zikr-e-ghair to kya
ab KHud se gurezan hain aur apne sae se ghabraate hain
manus hain gham se kuchh aise gar nind mein bhi hum ne 'arshad'
apne ko hanste dekh liya to dekhte hi Dar jate hain
Ghazal
Phir chand dinon se wo har shab KHwabon mein hamare aate hain
Arshad Kakvi