اردو हिंदी
Phir chahe to na aana o aan-ban wale | Shaahi Shayari
phir chahe to na aana o aan-ban wale

Ghazal

Phir chahe to na aana o aan-ban wale

Arzoo Lakhnavi

;

phir chahe to na aana o aan-ban wale
jhuTa hi wada kar le sachchi zaban wale

maujud dil jigar hain de abruon ko jumbish
dohra nishana bhi hai dohri kaman wale

ye chupke chupke baaten nazren bacha bacha kar
rakhte hain aankh hum bhi hum bhi hain kan wale

kahna pate pate ki aur nam phir hansi ka
chhuriyan na bhonk dil mein miThi zaban wale

wo 'arzu' sar apna Takra raha hai dar se
niche to dekh jhuk kar unche makan wale