phir chahe jitni qamat le kar aa jaana
pahle apni zat se tum bahar aa jaana
tanha tai kar lunga sare mushkil raste
shart ye hai ki tum darwaze par aa jaana
main diwar pe rakh aaunga dip jala kar
saya ban kar tum darwaze par aa jaana
tum ne hum ko Thukraya ye zarf tumhaara
jab tum ko Thukra den log idhar aa jaana
baaton ka bhi zaKHm bahut gahra hota hai
qatl bhi karna ho to be-KHanjar aa jaana
tum kyun apni satah pe hum ko lana chaho
mushkil hai gahrai ka upar aa jaana
jab thak jae zehn KHudai karte karte
bandon se milne banda-parwar aa jaana
hum ne ye tahzib parindon se sikhi hai
subh ko ghar se jaana sham ko ghar aa jaana
rasta rasta ek ajaib-gah 'muzaffar'
hansti aankhon se jaana shashdar aa jaana

Ghazal
Phir chahe jitni qamat le kar aa jaana
Muzaffar Warsi