phir bhayanak tirgi mein aa gae
hum gajar bajne se dhoka kha gae
hae KHwabon ki KHayaban-saziyan
aankh kya kholi chaman murjha gae
kaun the aaKHir jo manzil ke qarib
aaine ki chadaren phaila gae
kis tajalli ka diya hum ko fareb
kis dhundalke mein hamein pahuncha gae
un ka aana hashr se kuchh kam na tha
aur jab palTe qayamat Dha gae
ek paheli ka hamein de kar jawab
ek paheli ban ke har su chha gae
phir wahi aKHtar-shumari ka nizam
hum to is takrar se ukta gae
rahnumao raat abhi baqi sahi
aaj sayyare agar Takra gae
kya rasa nikli dua-e-ijtihad
wo chhupate hi rahe hum pa gae
bas wahi memar-e-farda hain 'nadim'
jin ko mere walwale ras aa gae
Ghazal
Phir bhayanak tirgi mein aa gae
Ahmad Nadeem Qasmi