phir bahaar aai mere sayyaad ko parwa nahin
uD ke main pahunchun chaman mein kya karun par wa nahin
ji jala kar ek bosa mangte hain bar se
aage ya qismat wo dekhen han kare hai ya nahin
hasrat o hirman o yas o hairat ranj o tab
kya kahun is hijr mein kya kya hai aur kya kya nahin
har kisi se lag chale kya zikr hai imkan kya
hum use pahchante hain KHub wo aisa nahin
chaar unsur ki ghazal 'rangin' kaho tum dusri
hai qasam tum ko ali-ji ki ye mat kahna nahin
Ghazal
Phir bahaar aai mere sayyaad ko parwa nahin
Rangin Saadat Yaar Khan