phir bahaar aai hai phir josh mein sauda hoga
zaKHm-e-derina se phir KHun Tapakta hoga
biti baaton ke wo nasur hare phir honge
baat niklegi to phir baat ko rakhna hoga
yurishen kar ke umanD aaengi suni shamen
lakh bhaTken kisi unwan na sawera hoga
ji ko samjhaenge matwali hawa ke jhonke
phir koi lakh sambhaale na sambhalna hoga
kaisi rut aai hawa chalti hai ji Dolta hai
ab to hansna bhi taDapne ka bahana hoga
TuT jaega ye lachaari-e-daem ka fusun
aur is tarah ki jaise koi aata hoga
dil dhaDakne ki sada aaegi sune-pan mein
dur baadal kahin parbat pe garajta hoga
Ghazal
Phir bahaar aai hai phir josh mein sauda hoga
Mukhtar Siddiqui