phir baDha josh-e-junun surat-e-sailab mujhe
phir kahin gharq na kar de koi girdab mujhe
main wo hun aap jo ho apni tabahi ka sabab
kar gai kasrat-e-girya meri gharqab mujhe
chashm mein ashk KHalish dil mein jigar mein Tisen
uf ye kya chiz kiya karti hai betab mujhe
meri ummid mein hai yas ki surat muzmar
meri hasti hai fana misl-e-KHat-e-ab mujhe
nichi nazren hon zaban band ho ghairon ko salam
un ki mahfil ke to aaenge na aadab mujhe
soz-e-furqat tapish-e-gham ke sabab muddat se
KHwab kya aarzu-e-KHwab hui KHwab mujhe
shumi-e-baKHt se tang aa ke jo dariya mein gira
mauj ne phenk diya la ke lab-e-ab mujhe
kitna dil-soz hai 'talib' tera afsana-e-gham
wo to wo ghair nazar aate hain betab mujhe

Ghazal
Phir baDha josh-e-junun surat-e-sailab mujhe
Talib Baghpati