phir andheron ne raste roke
phir nae KHizr hain nae dhoke
gham ke maron ki sadgi dekho
mangte hain ye har KHushi ro ke
hum ki juya-e-alam-e-nau the
ghar ko lauTe kahan kahan ho ke
hum se mat puchh subh kab hogi
hum ne sadiyan ganwai hain so ke
juz ajal koi to sila milta
zindagi tere bojh ko Dho ke
zahar zindan salib yaad aae
zehn mein tuKHm-e-agahi bo ke
baat insan ki kyun sune 'ahsan'
jo farishta ho wo use Toke
Ghazal
Phir andheron ne raste roke
Ehsan Ali Khan