phir aisa moD is qisse mein aaya
main sadiyan ghum kar lamhe mein aaya
mera rasta kisi jangal se guzra
ki KHud jangal mere raste mein aaya
kisi ke arsh par hone ka dawa
samajh ek shab mujhe nashshe mein aaya
main apne ghar baDi muddat se ke baad aaj
kisi mehman ke dhoke mein aaya
tera kirdar chalte-phirte ek din
meri rudad ke kuche mein aaya
yunhi ek din hujum-e-KHal-o-KHad mein
nazar KHud ko wo aaine mein aaya
munDeron se utar kar KHauf koi
dabe panw mere kamre mein aaya

Ghazal
Phir aisa moD is qisse mein aaya
Sarfraz Zahid