phir aas-pas se dil ho chala hai mera udas
phir ek jam ki barja hon jis se hosh hawas
hazar rang sahi par nahin zara bu-bas
hawa-e-sahn-e-chaman hum ko aae kaise ras
sitare ab bhi chamakte hain aasman pe magar
nahin hain shomi-e-qismat se hum sitara-shanas
khile hain phul hazaron chaman ke daman par
nawa-garan-e-chaman ko magar nahin ehsas
dil-o-jigar mein murawwat se paD gae nasur
hamein nahin hai magar us ke phal se phir bhi yas
ghire hue hain agar barq-o-baad-o-baran mein
to kya hua ki kinare ki hai abhi tak aas
junun ko apne chhupaen to kis tarah yaro
ki tar tar hai is shaghl-e-pak ka akkas
jo bewafai-e-gul se shikasta-KHatir ho
use batao ki hai ba-wafa-tar us se ghas
main is sharab-e-mohabbat se tang hun 'arshi'
ki jitna pijie baDhti hai aur utni pyas
Ghazal
Phir aas-pas se dil ho chala hai mera udas
Arshi Rampuri