اردو हिंदी
Phir aa gai ek but pe tabiat ko hua kya | Shaahi Shayari
phir aa gai ek but pe tabiat ko hua kya

Ghazal

Phir aa gai ek but pe tabiat ko hua kya

Mirza Mayal Dehlvi

;

phir aa gai ek but pe tabiat ko hua kya
Talti hi nahin sar se musibat ko hua kya

mahrum phir aaya dar-e-mai-KHana se waiz
rindan-e-qadah-KHwar ki himmat ko hua kya

maqbul-e-dua ho na asar aah-o-fughan mein
is daur mein tasir-e-mohabbat ko hua kya

is husn-o-latafat pe kya sang-dil aisa
hairat mein hun allah ki hikmat ko hua kya

jage to koi anjuman-e-ghair mein shab bhar
aur chhai mere munh pe nadamat ko hua kya

danista naqab ulTe hue hain sar-e-bazar
aur us pe ye kahte hain ki KHilqat ko hua kya

lo hum to chale kausar o tasnim pe zahid
tum yunhi kahe jao ki rahmat ko hua kya

'mail' nahin kya aur zamane mein ilahi
mujh par hi utarti hai ye aafat ko hua kya