اردو हिंदी
Pher len aankhen murawwat dekhna | Shaahi Shayari
pher len aankhen murawwat dekhna

Ghazal

Pher len aankhen murawwat dekhna

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

;

pher len aankhen murawwat dekhna
apni ulfat dekhna meri mohabbat dekhna

do hi din mein kya se kya tum ho gae
aaine mein apni surat dekhna

DhunDhne par bhi nishan milta nahin
mar miTun ki shan-e-ghurbat dekhna

aah se dar-parda us ko lag hai
aaine ki ye kudurat dekhna

dad mahjuri ki phir hai justuju
de na dhoka apni qismat dekhna

tauba karna to bahut aasan hai
phir badal jaegi niyyat dekhna

manzil-e-duniya nahin aaram-gah
hai abhi roz-e-qayamat dekhna

kar le o saffak har jaur-o-jafa
rah na jae koi hasrat dekhna

kabe se but-KHana mein aa hi gae
khinch lai 'shauq' qismat dekhna