phenken bhi ye libas badan ka utar ke
kab tak rahen giraft mein lail-o-nahaar ke
tasKHir-e-kaenat-o-hawadis ke bawajud
had pa sake na jabr-o-gham-o-iKHtiyar ke
bikhra hamesha reg ki surat hawaon mein
Thahra kabhi na misl kisi kohsar ke
tanha khaDa hua hun main dasht-e-KHayal mein
KHamosh ho chuka bhi samundar pukar ke
'tanwir' aagahi den kahan tak hayat ko
be-nur ho chale hain diye e'tibar ke
Ghazal
Phenken bhi ye libas badan ka utar ke
Tanveer Samani