phaTi mashken liye din-raat dariya dekhne wale
bayaban ban gae pani ziyaada dekhne wale
yahan koi musalsal dekhne wala nahin tujh ko
hamare sath chal hum hain hamesha dekhne wale
tumhaare husn se insaf karne ka taqaza hai
tumhein dekhen ziyaada se ziyaada dekhne wale
imarat ishq ki tanha khaDi hogi kahan tum se
hamein bhi sath rakkho hum hain naqsha dekhne wale
hamare samne tarif karta kaun kufe ki
sabhi ko ilm tha hum hain madina dekhne wale
bichhaDte waqt muD kar is liye dekha nahin main ne
kai manzar nahin hote dobara dekhne wale
kisi ne ma-siwa-e-KHak dil se kuchh nahin paya
bahut se log aae ye ilaqa dekhne wale
Ghazal
PhaTi mashken liye din-raat dariya dekhne wale
Faqeeh Haidar