phal hai us but ki aashnai ka
mujh ko dawa hai ab KHudai ka
na laDao nazar raqibon se
kaam achchha nahin laDai ka
aasman par nahin hilal numud
nal hai teri zerpai ka
gul mein thi is qadar kahan surKHi
aks hai panja-e-hinai ka
kis sitamgar se tu ne ai kafir
tarz sikha hai dilrubai ka
chadar-e-asman hazir ho
tu jo astar kare razai ka
waqt kya aa gaya hai sad-afsos
bhai dushman hua hai bhai ka
go barahman pisar wo qatil hai
dil mila hai magar qasai ka
kuchh mera hi nahin wo but mabud
ba-KHuda hai KHuda KHudai ka
'sehr' kya us ne kar diya jadu
mujh ko dawa tha parsai ka
Ghazal
Phal hai us but ki aashnai ka
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni