اردو हिंदी
Phal daraKHton se gire the aandhiyon mein thaal bhar | Shaahi Shayari
phal daraKHton se gire the aandhiyon mein thaal bhar

Ghazal

Phal daraKHton se gire the aandhiyon mein thaal bhar

Badr Wasti

;

phal daraKHton se gire the aandhiyon mein thaal bhar
mere hisse mein magar aae nahin rumal bhar

pahle sare panchhiyon ko par milen parwaz ke
phir shikari se kahe koi ki apna jal bhar

mausamon ki saKHtiyan to baadalon si uD gain
aaj bhi mahfuz kab hai dil ka shisha baal-bhar

dhund hi chhai rahi aankhon mein tum se kya kahen
ab to yaro ek sa rahta hai mausam sal-bhar

dhup ki man-maniyon par muskuraate the kabhi
in tanawar peDon par patte bache hain Dal-bhar

ek shai ka nam jo batlae us ka nam ho
apni galiyon mein nahin hai mumbai si chaal bhar

aur hum se kya taqaza hai tera asr-e-rawan
jaan-o-tan ka nam hai bas haDDiyon par khaal-bhar