اردو हिंदी
Phal aate hain phul TuTte hain | Shaahi Shayari
phal aate hain phul TuTte hain

Ghazal

Phal aate hain phul TuTte hain

Imdad Ali Bahr

;

phal aate hain phul TuTte hain
KHurdon se buzurg chhuTte hain

khulti nahin gul ki bad-mizaji
ghunche nahin munh se phuTte hain

karte hain yahan hasin taraj
nabbash lahad mein luTte hain

hota hai firaq jaan-o-tan mein
buron ke milap chhuTte hain

ek but se moamla darpesh
patthar se nasib phuTte hain

aaseb hain gesuwan-e-mashuq
kab hum se lipaT ke chhuTte hain

dil le ke wo jaan ke hain KHwahan
har pahar ke mujhi ko luTte hain

har-waqt hai koft apne dil ko
rah rah kar sina kuTte hain

KHat paDhta hai mera kya kahun kaun
aghyar ki did se phuTte hain

rone-dhone se faeda 'bahr'
kab sine ke dagh chhuTte hain