phailta jata hai nafrat ka dhuan ishq karo
bujh na jae kahin ye shoala-e-jaan ishq karo
ishq bin jine ke aadab nahin aate hain
'mir' sahab ne kaha hai ki miyan ishq karo
kaj-adai na faqiron ko dikhao yaro
ek shab ke liye mehman hain yahan ishq karo
kal na hum honge na tum hoge na ye hangame
koi din aur hai ye rang-e-jahan ishq karo
ishq ke saude mein nuqsan bahut hai 'wali'
par kabhi band na ho dil ki dukan ishq karo

Ghazal
Phailta jata hai nafrat ka dhuan ishq karo
Wali Aasi