phaili hai dhup jazba-e-isfar dekh kar
hargiz Thahar na saya-e-ashjar dekh kar
chal aa wahin chalen ki jahan shor-o-shar na ho
tang aa gaya hun garmi-e-bazar dekh kar
afwah wo uDi thi ki main kal bahut hansa
rota hun aaj subh ka aKHbar dekh kar
aisa na ho ki qaum ka beDa hi gharq ho
taqrir jhaD qaum ke meamar dekh kar
'jamid' mera wajud hai malba bana hua
ek KHauf sar uThata hai diwar dekh kar
Ghazal
Phaili hai dhup jazba-e-isfar dekh kar
Aqeel Jamid