اردو हिंदी
Phaila ajab ghubar hai aaina-gah mein | Shaahi Shayari
phaila ajab ghubar hai aaina-gah mein

Ghazal

Phaila ajab ghubar hai aaina-gah mein

Ejaz Gul

;

phaila ajab ghubar hai aaina-gah mein
mushkil hai KHud ko DhunDhna aks-e-tabah mein

jal-bujh chuka hai KHwahish-e-nakaam se wajud
parchhain phir rahi hai makan-e-siyah mein

main wo ajal-nasib ki qatil hun apna-ap
hota hun roz qatl kisi qatl-gah mein

rakkha gaya hun izzat-o-tauqir ka asir
bandha gaya hai sar ko ghurur-e-kulah mein

halkan mein nahin teri KHatir sar-e-hujum
sab mar rahe hain hasrat-e-yak-do-nigah mein