phail rahe hain waqt ke sae
dekhen raat kahan tak jae
dida-o-dil ki baat na puchho
ek lagae ek bujhae
aaj ye hai mausam ka taqaza
zulf teri khul kar lahrae
in aankhon se moti barse
in honTon ne phul khilae
dekh-bhaal kar zahr piya hai
soch-samajh kar dhoke khae
aaj wo tanha raat kaTi hai
aansu tak aankhon mein na aae
'saif' zamana samjhata hai
kaun apne hain kaun parae

Ghazal
Phail rahe hain waqt ke sae
Saifuddin Saif