phabti tere mukhDe pe mujhe hur ki sujhi
la hath idhar de ki bahut dur ki sujhi
Tuk dekhiyega jubba-o-ammama-e-zahid
hai us pe mujhe balam-e-baur ki sujhi
kyun main dil-e-pur-abla par tak na bandhun
hai is pe mujhe KHosha-e-angur ki sujhi
hai shaiKH-e-siyah-chehra jo majlis mein phudakta
yaron ko yahan rui ke langur ki sujhi
waiz jo paDha jin mutabaKHtir hai nihayat
us par mujhe shaitan ki hai pur ki sujhi
hath apne se jab chhuT gai is DanD ki machhli
tab us ke taDapne pe saqanqur ki sujhi
han ai shafaq-e-subh teri dekh ke rangat
shanjarf ki sujhi mujhe kafur ki sujhi
jab phul jhaDe nur ke is aah se meri
is par mujhe 'insha' shajar-e-tur ki sujhi
Ghazal
Phabti tere mukhDe pe mujhe hur ki sujhi
Insha Allah Khan u0027Inshau0027