phandti phirti hain ehsas ke jangal ruhen
kab sakun paengi bhaTki hui be-kal ruhen
pa-shikasta hain shab-o-roz ke virane mein
DhunDti hain kise is dasht mein pagal ruhen
jab bhi uThte hain nigahon se gham-e-jaan ke hijab
dekh leti hain kisi shoKH ka aanchal ruhen
runuma ho chaman-e-dahr mein ai abr-e-nashat
dard ki dhup mein sanwlai hain komal ruhen
dil ke ujDe hue mandir ko basane ke liye
le ke aai thin kisi yaad ki mashal ruhen
raat sapnon ki sabha mein mere hamrah rahin
jab khuli aankh huin aankh se ojhal ruhen
Ghazal
Phandti phirti hain ehsas ke jangal ruhen
Hasan Akhtar Jaleel