اردو हिंदी
PeT ki aag mein barbaad jawani kar ke | Shaahi Shayari
peT ki aag mein barbaad jawani kar ke

Ghazal

PeT ki aag mein barbaad jawani kar ke

Zakir Khan Zakir

;

peT ki aag mein barbaad jawani kar ke
panchhi lauTe hain abhi naql-e-makani kar ke

KHana-e-dil mein ghaDi-bhar ko Thaharna hai unhen
phir guzar jaenge har baat purani kar ke

ishq izhaar ka talib hai na matlub-e-nazar
faeda kya hai miyan shoala-bayani kar ke

ab wahan KHak uDa karti hai armanon ki
hum chale aae the manzil pe nishani kar ke

par lag jaega sanson ka safina ek rose
dhaDkanon mein teri yaadon se rawani kar ke

chand lamhon ka mera us ka safar tha aisa
raat ho jaise kahin sham suhani kar ke

us ki nazron mein haqiqat hai fasana 'zakir'
chhoD jaega mujhe ab wo kahani kar ke