pesh wo har pal hai sahab
phir bhi ojhal hai sahab
aadhi-adhuri duniya mein
kaun mukammal hai sahab
aaj to pal pal marna hai
jina to kal hai sahab
achchhi-KHasi wahshat hai
aur musalsal hai sahab
dur talak tapta sahra
aur ek chhagal hai sahab
pure chand ki aadhi raat
raqsan jangal hai sahab
jhil kinare tanhai
aur ek pagal hai sahab
apna aap muqabil hai
jiwan danggal hai sahab
har KHwahish ka qatl hua
dil kya maqtal hai sahab
dil ka bojh kiya halka
aankh ab bojhal hai sahab
ab wo khiDki band hui
dar bhi muqaffal hai sahab
Ghazal
Pesh wo har pal hai sahab
Waqar Sahar