pesh jo aaya sar-e-sahil-e-shab batlaya
mauj-e-gham ko bhi magar mauj-e-tarab batlaya
hai batane ki koi chiz bhala nam-o-nasab
hum ne puchha na kabhi nam-o-nasab batlaya
rang mahfil ka ajab ho gaya jis dam us ne
KHamushi ko bhi meri husn-e-talab batlaya
dil ko duniya se sarokar kabhi tha hi nahin
aankh ne bhi magar is ruKH ko ajab batlaya
ye udasi ka sabab puchhne wale 'ajmal'
kya karenge jo udasi ka sabab batlaya
Ghazal
Pesh jo aaya sar-e-sahil shab batlaya
Ajmal Siraj