pesh-e-zamin rahun ki pas-e-asman rahun
rahta hun apne sath main chahe jahan rahun
kaisa jahan kahan ka makan kaun la-makan
yani agar kahin na rahun to kahan rahun
ai ishq mera hona na hona hai mujh talak
ab main nishan khinchun ki main be-nishan rahun
kya DhunDhta rahun main yunhi dahr mein sabaat
kya marg-e-na-gahan ke liye na-gahan rahun
KHakistar-e-sitara hai aainda-e-numu
behtar yahi hai main kisi jaanib rawan rahun
Ghazal
Pesh-e-zamin rahun ki pas-e-asman rahun
Meer Ahmad Naved