pesh aane lage hain nafrat se
bhar gaya un ka dil mohabbat se
faeda ye hai teri qurbat se
KHub kaTta hai waqt rahat se
kaam bante nahin hain nafrat se
kaam chalte hain sab mohabbat se
un ki KHatir mujhe jahan wale
dekhte hain baDi hiqarat se
zindagi meri ek musibat thi
mil gae aap mujh ko qismat se
sari duniya harif hai meri
ek zara si teri inayat se
kya KHabar thi ki waqt paDte hi
hath uTha lenge wo mohabbat se
wo shab-e-wasl bhi to pahlu mein
baz aate nahin shararat se
dil ko chaska paDa hai kuchh aisa
baz aata nahin mohabbat se
kaamrani ke waste 'afzal'
kaam lena paDega himmat se
Ghazal
Pesh aane lage hain nafrat se
Afzal Peshawari