peDon ki ghani chhanw aur chait ki hiddat thi
aur aise bhaTakne mein anjaan si lazzat thi
in kohna fasilon ko pahron hi take jaana
in KHali jharokon mein jaise koi surat thi
hairan si nazron mein ek shakl gurezan si
ek saya-e-guzran se wo kaisi mohabbat thi
har jumbish-e-lab us ki dastak thi dar-e-dil par
har waqf-e-KHamoshi mein taqrir ki lazzat thi
har din ke guzarne mein har raat ke Dhalne mein
har chashm-zadan manzil har sans masafat thi
Ghazal
PeDon ki ghani chhanw aur chait ki hiddat thi
Zulfiqar Ahmad Tabish