peD uncha hai magar zer-e-zamin kitna hai
lab pe hai nam-e-KHuda dil mein yaqin kitna hai
hum ne to mund lin aankhen hi teri did ke baad
bul-hawas jaante hain koi hasin kitna hai
dekhta hai wo mujhe lutf se gahe gahe
aankta hai ki ghani KHak-nashin kitna hai
ek taKHil ke jangal pe tasarruf tha pa ab
ye ilaqa bhi mere zer-e-nagin kitna hai
tum ne kis shaKHs ki taswir banai hai 'suhail'
rang kitna hai kahin aur kahin kitna hai
Ghazal
PeD uncha hai magar zer-e-zamin kitna hai
Suhail Ahmed Zaidi