اردو हिंदी
PeD sukha harf ka aur faKHtaen mar gain | Shaahi Shayari
peD sukha harf ka aur faKHtaen mar gain

Ghazal

PeD sukha harf ka aur faKHtaen mar gain

Rafi Raza

;

peD sukha harf ka aur faKHtaen mar gain
lab na khole to ghuTan se sab duaen mar gain

ek din apna sahifa mujh pe nazil ho gaya
us ko paDhte hi meri sari KHataen mar gain

yaad ki gudDi ko main ne ek din pahna nahin
ek din ke hijr mein sari balaen mar gain

main ne mustaqbil mein ja kar ek lambi sans li
phir mere mazi ki sab hasid hawaen mar gain

main ne kya socha tha un ke waste aur kya hua
mere chup hone se andar ki sadaen mar gain

is taraf miTTi thi mere us taraf ek nur tha
main jiya mere liye do intihaen mar gain