peD ke patton mein halchal hai KHabar-dar se hain
sham se tez hawa chalne ke aasar se hain
naKHuda dekh raha hai ki main girdab mein hun
aur jo pul pe khaDe log hain aKHbar se hain
chaDhte sailab mein sahil ne to munh Dhanp liya
log pani ka kafan lene ko tayyar se hain
kal tawariKH mein dafnae gae the jo log
un ke sae abhi darwazon pe bedar se hain
waqt ke tir to sine pe sambhaale hum ne
aur jo nil paDe hain teri guftar se hain
ruh se chhile hue jism jahan bikte hain
hum ko bhi bech de hum bhi usi bazar se hain
jab se wo ahl-e-siyasat mein hue hain shamil
kuchh adu ke hain to kuchh mere taraf-dar se hain
Ghazal
PeD ke patton mein halchal hai KHabar-dar se hain
Gulzar