peD aangan ke tere jab barwar ho jaenge
doston ke hath ke patthar idhar ho jaenge
mere ashkon ke ye qatre lakh be-qimat sahi
jab tere daman pe Tapkenge guhar ho jaenge
kya KHabar thi hum idhar ghar mein jalaenge charagh
us taraf jhonke hawa ke ba-KHabar ho jaenge
is jahan-e-be-aman mein barg-e-awara hain hum
jab chalegi tez aandhi dar-ba-dar ho jaenge
zulmaton se haar manenge na ai 'azad' hum
KHud farozan ho ke sham-e-rahguzar ho jaenge
Ghazal
PeD aangan ke tere jab barwar ho jaenge
Azad Gurdaspuri