pech fiqre par kiya jata nahin
koi dhaga do baTa jata nahin
bosa-e-lab ghair ko dete ho tum
munh mera miTha kiya jata nahin
zoaf ne yak-dast toDe pa-e-zist
nabz-e-murda hun hila jata nahin
zulf se sumbul kare kya ham-sari
pech choTi ka kiya jata nahin
tegh-e-husn-e-yar se majruh hai
tota-e-KHat se uDa jata nahin
qabr ka talib abas hai jism-e-zar
chashm-e-dushman mein sama jata nahin
kya kashida surat-e-taswir hun
na-tawani se khincha jata nahin
zoaf se pahunchenge kyun-kar aap tak
aap se bahar hua jata nahin
khinch sake taswir betabi mein kya
ek surat par raha jata nahin
ruh ko bhi bosa-e-lab ki hai chaT
mar gae lekin mara jata nahin
murde se bad-tar hun go jita hun main
rang-e-hasti mein mila jata nahin
rang kya qadd-KHamida ka khile
chhalle ke gul se khila jata nahin
roz angiya hoti hai aarasta
kab naya bangla saja jata nahin
pech mein aane ko taqat chahiye
tere dam par bhi chaDha jata nahin
itr khinchta hai hamari KHak ka
hath malne ka maza jata nahin
chuTkiyan mere sarape mein na lo
jama-e-hasti chuna jata nahin
koi kya hum ko banega 'munir'
aise bigDe hain bana jata nahin
Ghazal
Pech fiqre par kiya jata nahin
Muneer Shikohabadi

