pech de zulf-e-ambarin na kahin
KHud ulajh jao ai hasin na kahin
kabhi ghabraate hain to kahte hain
koi betab hai kahin na kahin
bahut israr wasl par nahin KHub
munh se kah den wo phir nahin na kahin
zikr jis ghamzade ka hota hai
dil ye kahta hai hon hamin na kahin
sajde karte hain log der mein bhi
wan bhi ai yar hon hamin na kahin
naz uThata hai nazninon ke
dil bhi ho jae naznin na kahin
sunte hain arsh hai rafia bahut
koi jaanan ki ho zamin na kahin
kah rahi hai fasurdagi un ki
mar gaya hai koi kahin na kahin
dil mera le gae to hain KHush KHush
hon jo meri tarah hazin na kahin
aasman jis ko log kahte hain
koi qatil ki ho zamin na kahin
muztarib be-sabab nahin 'zeba'
dil laga hai magar kahin na kahin

Ghazal
Pech de zulf-e-ambarin na kahin
Zeba