اردو हिंदी
Pazhmurda dil hai wasl ke arman ko kya hua | Shaahi Shayari
pazhmurda dil hai wasl ke arman ko kya hua

Ghazal

Pazhmurda dil hai wasl ke arman ko kya hua

Murli Dhar Shad

;

pazhmurda dil hai wasl ke arman ko kya hua
rota hun main bahaar-e-gulistan ko kya hua

kab tak uDaun hijr mein daman ki dhajjiyan
ai subh tere chaak-gareban ko kya hua

bulbul ke chahchahe hain na koi shagufta phul
ai baghban bahaar-e-gulistan ko kya hua

dil chir kar dikhane ki shai ho to main dikhaun
furqat ki raat sadma meri jaan ko kya hua

dushman ka sog saf hai chehre se aashkar
aaina dekh zulf-e-pareshan ko kya hua

bulbul hai chup fasurda chaman luT gai bahaar
main ne kiya jo chaak-e-gareban ko kya hua

mahw-e-jamal ho gae aaina dekh kar
tum kah rahe the nargis-e-hairan ko kya hua

main un ko is sawal ka ab kya jawab dun
daman ko aastin ko gareban ko kya hua

kanTe hazar dil mein hain kis kis ko roiye
phulon ko bulbulon ko gulistan ko kya hua

dil TukDe ho ke sabr ka daman hua hai chaak
kis se kahun ki chaak-gareban ko kya hua

uljha hua hai 'shad' ka dil baal kya banen
wo kah rahe hain zulf-e-pareshan ko kya hua