payambar main nahin aashiq hun jaani
rahe musi hi se ye lan-tarani
sulaiman hum hain ai mahbub-e-jaani
samajhte hain tujhe bilqis-e-sani
khula saude mein un zulfon ke mar kar
pareshan KHwab thi ye zindagani
ye kyun aata hai un se qad-kushi ko
gaDi jati hai sarw-e-bostani
wahi dega kabab-e-nargisi bhi
jo deta hai sharab-e-arghawani
ranga hai ishq ne kis dard-e-sar se
hamara jama-e-tan zafrani
musafir ki tarah rah KHana-bar-dosh
nahin jae-e-iqamat dar-e-fani
tere kuche ke mushtaqon ke aage
jahannam hai bahisht-e-asmani
wo mai-kash hun diya hai qabla ne
jise ghusl-e-sharab-e-arghawani
yaqin hai dida-e-barik-bin ko
kare ainak talab ye na-tawani
wo KHat hai yaadgar-e-husn-e-rafta
wo sabza hai gulistan ki nishani
nikalti munh se qasid ke nahin baat
magar laya hai paigham-e-zabani
ye musht-e-KHak ho maqbul-e-dargah
saba ki chahta hun mehrbani
liye hain bosa-e-ruKHsara-e-saf
piya hai hum ne aaine ka pani
safedi mu ki ho kafur har-chand
koi miTta hai ye dagh-e-jawani
na KHush ho farbahi-e-tan se ghafil
subuk karti hai murde ko girani
mue jo peshtar marne se wo log
kafan samjhe qaba-e-zindagani
jalati hai dil 'atish' tur ki tarah
kisi parda-nashin ki lan-tarani
Ghazal
Payambar main nahin aashiq hun jaani
Haidar Ali Aatish