payami kaamyab aae na aae
KHuda jaane jawab aae na aae
tere ghamzon ko apne kaam se kaam
kisi ke dil ko tab aae na aae
use sharmaenge zikr-e-adu par
ye qismat hai hijab aae na aae
tum aao jab sawar-e-tausan-e-naz
qayamat ham-rikab aae na aae
shumar apni KHataon ka bata dun
tumhein shayad hisab aae na aae
nae KHanjar se mujh ko zabh kije
phir aisi aab-o-tab aae na aae
shab-e-wasl-e-adu teri bala se
kisi muztar ko KHwab aae na aae
piyunga aaj saqi ser ho kar
mayassar phir sharab aae na aae
ye ja kar puchh aa tu un se darban
ki wo KHana-KHarab aae na aae
na dekho 'dagh' ka diwan dekho
samajh mein ye kitab aae na aae
Ghazal
Payami kaamyab aae na aae
Dagh Dehlvi