payam le ke hawa dur tak nahin jati
nawa-e-KHalq-e-KHuda dur tak nahin jati
yahin kahin pe bhaTakti hain zer-e-charKH-e-kuhan
hamari koi dua dur tak nahin jati
gale mein halqa-e-zarrin halaq mein luqma-e-tar
tabhi to apni sada dur tak nahin jati
kisi ke chehre ke pichhe ka haal kya malum
shikast-e-dil ki sada dur tak nahin jati
mere diye ko bas ek zid si hai andhere se
agarche us ki ziya dur tak nahin jati
ajib KHauf ka mausam hai in dinon 'imrran'
sugandh le ke hawa dur tak nahin jati
Ghazal
Payam le ke hawa dur tak nahin jati
Imran-ul-haq Chauhan