اردو हिंदी
Payam-e-ashti ek Dhong dosti ka tha | Shaahi Shayari
payam-e-ashti ek Dhong dosti ka tha

Ghazal

Payam-e-ashti ek Dhong dosti ka tha

Aftab Shamsi

;

payam-e-ashti ek Dhong dosti ka tha
mila wo hans ke taqaza ye dushmani ka tha

khaDa kinare pe main apni thah kya pata
ki ye moamla irfan-o-agahi ka tha

main us ke samne ghairon se baat karta raha
agarche sauda mere sar mein bas usi ka tha

kai imaraton ko apna ghar samajh ke jiya
mere makan mein fuqdan raushni ka tha

jo sath lae the ghar se wo kho gaya hai kahin
irada warna hamara bhi wapsi ka tha