payam aae hain us yar-e-bewafa ke mujhe
jise qarar na aaya kahin bhula ke mujhe
judaiyan hon to aisi ki umr bhar na milen
fareb do to zara silsile baDha ke mujhe
nashe se kam to nahin yaad-e-yar ka aalam
ki le uDa hai koi dosh par hawa ke mujhe
main KHud ko bhul chuka tha magar jahan wale
udas chhoD gae aaina dikha ke mujhe
tumhaare baam se ab kam nahin hai rifat-e-dar
jo dekhna ho to dekho nazar uTha ke mujhe
khinchi hui hai mere aansuon mein ek taswir
'faraaz' dekh raha hai wo muskura ke mujhe
Ghazal
Payam aae hain us yar-e-bewafa ke mujhe
Ahmad Faraz