pau phaTte hi train ki siTi jab kanon mein gunjti hai
sarwat teri yaad mere dil ke KHanon mein gunjti hai
shahzadi ke hijr mein likhhe kuchh lafzon ki hairani
shahzadi ke ghar tak aate mai-KHanon mein gunjti hai
shahzadi ke kanon mein jo baat kahi thi ek tu ne
baad tere wo baat tere hi afsanon mein gunjti hai
jaan se jaane se pahle ek aah bhari hogi tu ne
sham Dhale jo dur kahin ab viranon mein gunjti hai
Ghazal
Pau phaTte hi train ki siTi jab kanon mein gunjti hai
Asima Tahir