pattharon se dosti kya bha gai
ek nadi apni rawani kha gai
der tak qismat paDi soti rahi
dhup ghar ke baam-o-dar tak aa gai
ek kiran KHushbu ki surat aai aur
na-gahan kamra mera mahka gai
KHud ujalon ke liye mangi dua
apni tariki se shab ghabra gai
chand utra nur ki mahfil mein jab
raushni hi raushni par chha gai
Ghazal
Pattharon se dosti kya bha gai
Nusrat Mehdi