pattharon par naqsh ubhra kyun nahin
dast be-tesha ne socha kyun nahin
jaan lewa hain adhure waqiat
jo bhi hona hai wo hota kyun nahin
pattharon ke aks paD kar rah gae
shisha-e-ehsas TuTa kyun nahin
bah raha tha jab lahu aawaz ka
ye gulu-e-KHushk bola kyun nahin
maut bhi kya saya-e-diwar thi
us ka kucha hum se chhuTa kyun nahin
aaina-KHana tha main phir koi aks
is taraf se ho ke guzra kyun nahin
log na-KHush hain ki apne haal par
muskura deta ho hun rona kyun nahin
Ghazal
Pattharon par naqsh ubhra kyun nahin
Tasawwur Zaidi