اردو हिंदी
Patthar se na maro mujhe diwana samajh kar | Shaahi Shayari
patthar se na maro mujhe diwana samajh kar

Ghazal

Patthar se na maro mujhe diwana samajh kar

Hafeez Jaunpuri

;

patthar se na maro mujhe diwana samajh kar
aaya hun idhar kucha-e-jaanana samajh kar

kahte hain ye rone se lagi dil ki bujhegi
samjhate hain apna mujhe parwana samajh kar

main wo hun ki seri mujhe hoti nahin mai se
dena mere saqi mujhe paimana samajh kar

naKHwat se jo ek baat na sunte the hamari
KHud chheD rahe hain hamein diwana samajh kar

hum un ke hain dil un ka hai jaan un ki hai lekin
phir munh ko chhupate hain wo begana samajh kar

rakkha na kahin ka hamein barbaadi-e-dil ne
arman Thaharte nahin virana samajh kar

dekh aap se bahar na ho mansur ki surat
karna hai to kar nara-e-mastana samajh kar

hum aur hi kuchh DhunDte phirte hain buton mein
but-KHane mein jate nahin but-KHana samajh kar

KHuban se paTe ya na paTe wasl ka sauda
dil pahle hi le lete hain baiana samajh kar

saqi ki jo aankhon ko hui bazm mein gardish
hum lauT gae gardish-e-paimana samajh kar

kah jate 'hafiz' un ko ho tum josh mein kya kuchh
wo tarah diye jate hain diwana samajh kar