patthar se mukalima hai jari
donon hi taraf hai hoshiyari
wahshat se main bhagta raha hun
phir mujh pe junun hua hai tari
darwesh ko rakh ke KHak-e-pa mein
karta hai zamana shahryari
patthar se mujhe na choT pahunchi
ek gul ne diya hai zaKHm kari
shahri watan-e-aziz ka hun
lekin hai shiar ashk-bari
mazhab hai mera tariq-e-hindi
derina buton se apni yari
paya hai farogh-e-secularism
talwar hui hai ab do dhaari
guzre hue din ka istiara
ye maulwi aur ye bhikari
Ghazal
Patthar se mukalima hai jari
Jamal Owaisi